Naya phone pehle saal me kharab nahi hota — tab to company khud sambhal leti hai. Kharabi doosre aur teesre saal me aati hai: charging port dheela, speaker phata, display band. Tab company kuch nahi sunti aur service centre ₹5,000–6,000 ka bill bana deta hai.
Hamara plan company ki warranty khatam hone ke baad shuru hota hai — pehle saal ka paisa hum nahi lete.
₹25,000 ke phone par service centre ke asli rate, aur usi phone par hamara 2 saal ka plan.
Rate Bareilly ke authorised service centre ke andaze ke hain, brand aur model ke hisaab se ghat-badh sakte hain.
Pehle saal phone naya hai. Port, speaker, display — sab 18 se 30 mahine me dheele hote hain. Company ka saal tab tak khatam.
₹25,000 ke phone ka display ₹5,500 ka. Plan ₹2,500 ka, 2 saal ke liye. Ek baar bhi kaam aaya to wasool.
Plan sirf phone khareedte waqt lagta hai — bill ke 7 din ke andar. Baad me chahenge to nahi milega.
₹2,500 ko 24 mahine me baantiye. Ek chai se bhi kam me phone ki suraksha.
Plan naye maalik ko transfer ho jata hai. Warranty wala purana phone ₹1,000–2,000 zyada me bikta hai.
Repair hone ke baad OTP aapke mobile par aata hai. Aap batayenge tabhi claim band hoga.
Chhupa kar rakhne se customer ek baar aata hai. Saaf likhne se baar-baar.
Bina toote, apne aap kaam band
Bina physical damage ke band ho jaye ya line aaye
Consumable hai — har phone ki ghisti hai
Local mechanic ne khol diya to plan khatam
Jahan se phone liya, wahin. Ya app se claim karo, technician se baat ho jayegi.
Authorised technician, asli parts. Bill hum bharte hain, aapse kuch nahi.
Phone theek milne par aapke mobile par OTP aata hai. Aap batayenge tabhi claim band.
Phone ki purchase value daaliye — 1 saal aur 2 saal ka rate turant.